Searching...
Friday, 13 November 2015

Tareekh-e-jhelum


Image result for jhelumImage result for jhelum
Assalam-o-alaikum
Aik sachay or pakkay jhelumi honay ka faraz yeh bhi hai kay hum apnay is dais is watan or is matti ki tareekh say bhi ba-khoobi waqif hon to aiye doston is ki tareekh or is pay guzarnay walay halaat ka aik mukhtasir sa jaiza laitay hain or jantay hain kay yeh mitti yeah dais kin kin halaat or waqiaat say guzaar kay hum tak pohancha hai or tareekh kay is taweel tareen safar main is nay kitnay mosamoon main kitnay zulm-o-sitam jheelay hain...!
jhelum ki tareekh pay agar nazar daali jay to andaza hota hai yeah koi mukhtasir si nahi hai jhelum pakistan kay qadeem tareen azla main say aik zilla hai
jhelum qayam-e-pakistan kay waqt bhi qaim tha or aj bhi allah kay fazal say qaim hai or aj bhi apnay ussi name say moujood hai
jhelum darya-e-jhelum kay right hand kay sath waqiya hai.
mukhtalif morkheen(writers) or maffaqareen ki batoon pay agar nazar daali jay to in main jhelum ki bunyaad or is kay wajood main anay par tazaad naraz ata hai.
laikin agar ap tareekh pay zaida gehrai main jain to ap is baat pay ka-il ho jain gay kay jhelum ki tareeh koi 166 sala purani hai or 1849 main jhelum ka wajood qaim hua or logo nay yahan a kay basna start kia or yahan pay abaadiyoun ki bunyaad dalli.
jhelum kay apnay name pay bohat say morakh apni alehsa alehda ray rakhtay hain magar aik qadeem rawayat kay mutabiq jhelumabad ko jalham bhi kaha jata tha or iska qadeem name jalham or is name ko jal say akhaz kia gaya jis ka mani hai saaf shafaf pani(pure water) or ham ka matlab burf hai jhelum in do lafzon kay mail say banta tha jal or ham hain
jal ka matlab dariya ka wo saaf pani hai jo kay dariya say sheher ki tarf behta tha jo kay barf ki tarhan thanda tha
or is kay ilawa jhelum kay name ki aik or bhi tarekh hai hai or kuch writers or morakh is pay yakeen rakhtay hain kay jab dara-e-azam bohat si jangain jeetnay kay baad dariya kay aik maakhsoos muqaam pay pohancha to wahan pay us nay apna jhanda garh dia or is jagha ko ja-e-alam ka name dia jis ka matlab hai jhanda garnay ki jagha or writers ka manna hai kay is ja-e-alam ka bad main jhelum ka name day dia gaya
Tareekh batati hai or ta qayamat is baat ki gawah rahay gi kay jab Hzarat saeed bin abi waqas jo kay Hazrat saad bin abi waqas kay bhai thay unko jab tableeg-e-islaam kay liye islam ki sarbulandi or sarfarazai kay liye jab china bhaija gaya to unka safar wahin ikhtitaam na hua or unho nay apnay is safar ko jaari rakha or tableegh kartay kartay humaray is sheher main apna faiz lay kay pohanchay
Or jab unho nay is sheher ka aqas dariya kay kinaray main daikha to bolay "haza jheelum" (this is jheelum) aik sheher jo chand ki roshini main dariya kay kinaray basa ho.
Next
This is the most recent post.
Previous
This is the last post.

0 comments:

Post a Comment